EK MUSALMAN KIS TARAH ZINDAGI GUZARE PART 1

EK MUSALMAN KIS TARAH ZINDAGI GUZARE

Deen e Islaam ! Aqaid , Ibadaat, A’maal e Saaliha , AKhlaaq e Hasana aur Aadaab e Aaliyah ka naam hai. Jab koi shakhs Islaam Qabool karle aur yun kahe ke Mai Musalman hun us par Laazim hai ke Poore Islaam ko Qabool kare. Surah Baqara (Ayat No 208)me Allah Ta’ala ne farmaya hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ادْخُلُوا فِي السِّلْمِ كَافَّةً وَلَا تَتَّبِعُوا خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُبِينٌ

Tarjuma: “Aye Imaan walo! Islaam me Poore poore Daakhil hojao aur Shaitaan ke Qadmon ke peeche na chalo beshak wo Tumhara Khulaa Dushman hai.”

Aj kal Logon ne ye Tareekha nikala hai ke Musalman hone ka Daawa bhi hai lekin Islaam ke Arkaan aur A’maal aur Akhlaaq aur Aadaat se Ghaflat bhi baratte hain aur Peeche bhi hatte hain. Daawa kuch aur Amal kuch, ye MOMIN ki Shaan nahi hai. Jab Musalman hogaye to poori tarah Islaam par Amal karna Laazim hai Aammatul Muslimeen ko Zaroori baaten  batane ke liye ye Mazmoon likh raha hun is mazmoon ko aapas me ek doosre ko Sunayen aur Amal par amadah karen.

  1. Islami Aqaid seekhe, Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Aqaiad maloom karen aur Unhe apna Aqeedah banayen jitney Gumrah Firqe hain maslan Shiya , Qadiyani, Aagha Khaani, Bohri in sab se door rahen aur Bid’aat se Mukammil parhez karen.
  2. 2. Har Aaqil baaligh Musalman par Mard ho ya Aurat 5 Namazen(FAJR, ZOHAR, ASAR, MAGHRIB, ISHA) Farz hain. Inko Ghar par hote hue aur Safar me, Marz me, Tijarat karte hue, Naukri me lagey hue har haal me adaa kare, Witr ki Namaz Isha ke Farzon ke baad padhna wajib hai isko bhi kabhi Qazaa na hone den. Aurten Gharon me aur Mard Masjidon me Jamaat ke sath Namaz padhen.

Jamat ke sath Namaz padhen se ek Namaz ka sawaab 27 guna(times) kardiya jata hai.(MISHKAATUL MASABEEH SAFHA 95)

Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke Jisne Namaz ki pabandi ki uske liye Qayamat ke din Namaz noor hogi aur Uske Imaan ki Daleel aur Uski Najaat ka samaan hogi aur jisne Namaz ki pabandi nahi ki uske Liye Namaz na Noor hogi na uske Imaan ki Daleel hogi na Najaat ka samaan hogi aur Qayaamat ke Roz ye Shakhs Qaaroon aur Firaon aur (uske Wazeer ) Haaman aur (Mashhoor Mushrik) Ubai Bin Khalf ke sath hoga(Mishkaatul Masabeeh safha 58)

Witron ke bare me Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya hai ke WITR padhna Zaroori hai. Jo Shakhs Witr na padhe wo Hum me se nahi hia (teen baar aisa hi farmaye)

(Mishkaatul Masabeeh safha 113)

Aur Muakkadah Sunnaton ke bare me farmaya jisne Din Raat me 12 Rakaten padhlin uske liye Jannat me ek Ghar bana diya jayega, 4 Rakaten Zohar se pehle , 2 Rakaten Zohar ke baad, 2 Rakaten Maghrib ke baad , 2 Rakaten Ishaa ke baad aur 2 Rakaten Fajar se pehle.

(Mishkaatul Masabeeh safha103)

Inke Ilawa Asar se pehle 4 Rakat Sunnat e Ghair Muakkadah hain unki badi Fazeelat hai. Ek Hadees me yun hai ke Allah Us bande par Rahem kare jo Asar se pehle 4 Rakaten padhe.

(Mishkaatul Masabeeh safha 104)

Nafil namazon ki bhi badi Ahmiyat hai jin me Namaz TAHIYYATUL WUZOO’ , TAHIYYATUL MASJID, ISHRAAQ , CHAASHT, TAHAJJUD aur MAGHRIB ke baad ki Nafilen bhi aajati hain. Nafil Namazon ka Zakheera bhi Sath lekar jana chahye.

Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke Din sab se pehle Namaz ka HIsab hoga , Namaz theek nikli to Kaamiyaab o baa muraad hoga aur Namaz Kharab nikli to Mehroom aur Na Muraad hoga, phir agar Faraiz me Kuch kami reh gayi to Parwadigaar e Alaam ka farmaan hoga ke Dekho Kya Mere Bandey ke kuch Nawaafil bhi hain. Phir Nawaafil ke Zarye Faraiz ki Kamii poori ki jayegi. Phir Zakaat ka bhi isi tarah Hisaab hga. Phir Doosre aamaal ka bhi isi tarah Hisaab hoge.

(Mishkaatul Masabeeh safha 117)

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.