KYA IMAM AHMED NE TAQLEED SE ROKA HAI??

?
AIMMA MUJTAHIDEEN KE IRSHADAT KI HAQEEQAT
Baaz Hazraat ye farmate hai ke AIMMA ARBA ne khud apni
TAQLEED se mana farmaya hai. Magar wo kis ko Mana kiya?
Mana apne Jaleel ul Qadr Shagirdon ko kiya jo Khud ijtehad ki
salahiat rakhte the aur aam Admi ko TAQLEED ka hukum dete
the. Chunanche
IMAM AHMED BIN HAMBAL rahmatullahi alaih ke bare me
Allama Ibne Taimia rahmatullahi alaih naqal farmate hai
“Imam AHMED rahmatullahi alaih Aam logo ko IMAM ISHAQ,
IMAM ABU UBAID, IMAM ABU SAUR aur IMAM ABU MUS’AB
rahimahumullah se MASAEL DARYAFT karne ka hukum dete
th aur apne ASHAAB me se jo ULAMA the Maslan IMAM ABU
DAWOOD, OSMAN BIN SAYEED, IBRAHIM AL HARBI, ABU
BAKR AL ASRAM, ABU ZAR’AA, ABU HAATIM SAJASTANI AUR
IMAM MUSLIM Rahimahumullah waghaira ko kisi ki TAQLEED
karne se rokte the aur unse farmate the ke tum par Asal Kitab
o Sunnat ki taraf Rujoo karna WAJIB hai”
[MAJMUA FATAWA IBNE TAIMIA jild 20 padha 226]

AAMI TAQLEED KARE FATWA IBNE TAIMIA
Allama Ibne Taimia rah ki is ibarat ne Bilkul wazeh kardya ke
jin MUJTAHIDEEN ne TAQLEED se mana kiya hai wo Apne Un
SHAGIRDON ko Mana kiya hai jo Bazaat e khud Jaleelul Qadr
MUHADDISEEN aur MAHIR FUQAHA the aur IJTEHAD ki poori

Salahiyat rakhte the.
Ghair Mujtahid AFRAAD ko unho ne Na Sirf Ye ke Mana nahi
farmaya balke Khud MUJTAHIDEEN se istefta karke unki
TAQLEED ka hukum dya hai, balke WAQIA ye hai ke GHAIR
MUJTAHID AFRAAD ke lye TAQLEED Ka jawaz balke WUJOOB

aisa MUTTAFAQ masla tha ke Siwaye MOTAZALA ke kisi se
isme IKHTELAF manqool nahi.

2 thoughts on “”

  1. Ab bhi nahi maan skte ye to samajh le janta to iblees b tha pr ad gaya ki manunga nahi…..isse waaze aur kya reference ho skta h…..

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.