3rd Hijri ke Chand Ahem Waqiaat

Imam Nawawi Rahmatullahi alaih likhte hain:

Teesri Hijri:

  1. Teesri Sadi Hijri me Ghazwaat o Saraaya hue,
  2. unhi me Ghazwae Uhud hai jo Hafte ke din 7th Shawwal ko hua,
  3. Phir BADR E SUGHRA hui ZI QAIDA ke Shuru me,
  4. Isi Saal Ghazwa e Nazeer hui,
  5. Isi Saal Uhud ke baad SHARAB HARAAM hui,
  6. Isi Saal Ap sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat HAFSA BINTE OMAR FAROOQ razi Allahu anha se Nikah farmaya,
  7. Isi saal Hazrat Osman Ghani Razi Allahu anhu ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki sahebzaadi hazrat Umme Kulsoom razi Allahu anha se Nikah kiya aur
  8. Isi Saal Hazrat Hasan Bin Ali razi Allahu anhu ki wiladat hui.

(Tehzeeb Ul Asmaa wal Lughaat 1/20)

FBS

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.