5-7 Hijri ke Chand Ahem Waqiaat

Imam Nawawi Rahmatullahi alaih likhte hain:

5th Hijri:

  1. Isme Ghazwa Doomatul Jandal hua,
  2. Ghazwae Quraiza hua aur
  3. Isi saal HIJAB ke ahkaam nazil hue

6th Hijri:

  1. Isme Sulah Hudaibiyah Hui,
  2. Bai’ate Rizwan hui,
  3. Ghazwa Banul Mustaliq hua,
  4. Isi saal Suraj Gehan hua aur
  5. Isi saal ZIHAAR ke Ahkaam Nazil hue.

7th Hijri:

  1. Isme Ghazwa e Khaibar hua,
  2. Isme Hudnah hui yani Ahle Makkah se Sulah hui,
  3. Isi me Umra e Qaza ada kiya gaya
  4. Isi me Hazrat Khalid Bin Waleed, Usman Bin Talha Khadim e Ka’bah ne Hijrat ki, phir Amr Bin Aas un se mile aur Teeno ne Sath Islam Qabool kiya (Razi Allahu anhum)
  5. Isi saal Ap Sallallahu alaihi wasallam ne Umme Habiba, Maimoona, Safiyya Razi Allahu anhunna se Nikah kiya aur Ap ke Paas Maariya Qabtiya razi Allahu anha aayi,
  6. Isi saal apke Paas Ap ka Khachhcar(Mule) DULDUL aaya,
  7. Isi saal Habsha se Hazrat Jafar Bin Abu Talib razi Allahu anhu aur unke sathi Madina tashreef laye aur
  8. Isi saal Hazrat Abu Huraira Razi Allahu anhu ne Islam Qabool farmaya.

(Tehzeeb Ul Asmaa wal Lughaat 1/20)

FBS

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.