-
Bismillahir Rahmaanir Raheem
Meraj Shareef ka waqia taqreeban 25 SahabaIkraam razi Allahu anhum se marwi hai jinme Hazrat Anas Bin Maalik, Hazrat Abu Zar Ghifaari, Hazrat Maalik Bin Sa’sa’ , Hazrat Bureeda , Hazrat Jabir Bin Abdullah, Hazrat Abu Sayeed Khudri , Hazrat Shaddad Bin Aos , Hazrat Ibne Abbas, Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abu Huraira , Hazrat Umme Haani Razi Allahu anhum bhi hain. Meraj Shareef ka azeem waqia jo Rasool e Akram sallallahu alaihi wasallam ke azeem mojazaat me se hai, kis San (year) me pesh aya us baare me Ashaab e Siyar ke muta’addad Aqwaal hain. Ek qaul ye hai ke Bi’sat ke baad 10 saal guzar jane ke baad Meraaj ka waqia Zahoor pazeer hua . Hazrat Ibne Shihaab Zohri rah ne farmaya ke Madine Munawwara ko hijrat karne se 1 saal pehli Meraj hui. Aur ek qaul ye bhi hai ke Hijrat se 16 Maah pehle Meraj ka waqia pesh aaya, ye sab Aqwaal HAFIZ IBNE KASEER rah ne ALBIDAYA WAN NIHAYA jild 3 safha 108 me likhe hain. Shaarih e Bukhari ALLAMA KIRMANI rah ne aur Shaarih e Muslim ALLAMA NAWAWI rah ne ek Qaul ye bhi likha hai ke Bi’sat ke panchwe saal (5th year) MERAJ hui.
Wallahu Alam Bis sawaab.
[MAULANA AASHIQ ILAHI BULAND SHAHRI RAHMATULLAHI ALAIH]Meraj Shareef ka tafseeli waqia roman me software me pc users ke liye neeche link click karen
Meraj Shareef ka waqia Software
Meraj Shareef ke mutalliq Meraj ki Baaten Kitab By Maulana Ashiq ilahi Madni rah roman me neeche link.
Meraj Ki Baaten pdf
Meraj Shareef ke waqiaat Content wise. Content ke naam par click karen aur Tafseel padhne.
- WAQIA E MERAJ QURAN MAJEED SE
- Burraaq Par Sawaar Hokar Baitul Muqaddas Ka Safar Karna Aur Wahan Hazraat Ambiya Ikraam Alaihumas Salaatu Wassalaam Ki Imamat Karna
- Saheeh Bukhari Me Waqia Meraj Ki Tafseel
- Meraj me Namazon ke Ilawa aur 2 In’aam
- Quraish Ki Takzeeb Aur Un Par Hujjat Qayam Hona-waqia Meraj
- Allah Ta’ala Ne Baitul Muqaddas Ko Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Saamne Pesh Farmadiya
- Waqia e Meraj ki Gawahi ek Paadri(father) ki Zabani
- Meraj Ke Baaz Mushahidaat complete
- Burraq Ki Shauqi Aur Uski Wajeh
- Baabul Hafazah yani Pehle Asman ka darwaza
- Meraj me Jahannam ko dekhna
- Aasmaanon Ke Muhafizeen Ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salam Se Ye Sawaal Kyun Kiya Keh Aap Ke Sath Kaun Hai, Kya Unhe Bulaya Gaya Hai?
- Meraj me Doodh,Shahed aur Sharab ka pesh kiya jana
- Sidratul Munteha kya hai?
- Naher Kausar
- Hazraat e Ambiya kiram alaihum assalam ki Mulaqat Roohani thi ya Ajsaam ke sath
- Aasmano me Hazraat e Ambiya Kiraam alihim assalam se jo Mulaqaten huiin un ki tarteeb ke bare me kya hikmat hai?
- Mukhtalif Aasman par Ambiya se milne ki hikmat
- Namazon ki takhfeef ka jo sawal kiya to paanch namazen reh jane par aage sawal na karne ki hikmat
- Hazrat Moosa alaihis salam ka rona aur rashk karna
- Hazrat Ibrahim Alaihis salam ne Namaz Kam karane ki targheeb kyun nahi di?
- Sone ke Tasht me ZamZam se Qalb e Athar dhoya jana
- Namaz ka Martaba e Azeemah
- Waqia e Meraj aur Mulhideen ke aetrazaat ka rad
Tafseel Meraj un Nabi Sallallahu alaihi wasallam
Advertisements
2 thoughts on “Tafseel Meraj un Nabi Sallallahu alaihi wasallam”