โ ๐ŸŒท HAZRAT MEHDI KAUN HONGE 7โ“๐ŸŒท

โ ๐ŸŒท HAZRAT MEHDI KAUN HONGE 7โ“๐ŸŒท

๐Ÿ“Œ๐Ÿ“Œ๐Ÿ“ŒSaatwin Alamat:

Mehdi ke Zuhoor se pehle Darya-e-Furaat me ek sone ka pahad Zaahir hoga, jis par Qabza karne ke liye 3 Shehzade ladenge.

Poora waqia ๐Ÿ“•Saheeh Muslim aur ๐Ÿ“—Sunan Ibne Maja me manqool hai

ุนูŽู†ู’ ุฃูุจูŽูŠู‘ู ุจู’ู†ู ูƒูŽุนู’ุจูุŒ ู‚ูŽุงู„ูŽ: ุณูŽู…ูุนู’ุชู ุฑูŽุณููˆู„ูŽ ุงู„ู„ู‡ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ูŠูŽู‚ููˆู„ู โ€ ูŠูˆุดูƒ ุงู„ูุฑุงุช ุฃู† ูŠุญุณุฑ ุนู† ุฌุจู„ ู…ู† ุฐู‡ุจุŒ ูุฅุฐุง ุณู…ุน ุจู‡ ุงู„ู†ุงุณ ุณุงุฑูˆุง ุฅู„ูŠู‡ุŒ ููŠู‚ูˆู„ ู…ู† ุนู†ุฏู‡: ู„ุฆู† ุชุฑูƒู†ุง ุงู„ู†ุงุณ ูŠุฃุฎุฐูˆู† ู…ู†ู‡ ู„ูŠุฐู‡ุจู† ุจู‡ ูƒู„ู‡ุŒ ู‚ุงู„: ููŠู‚ุชุชู„ูˆู† ุนู„ูŠู‡ุŒ ููŠู‚ุชู„ ู…ู† ูƒู„ ู…ุงุฆุฉ ุชุณุนุฉ ูˆุชุณุนูˆู†โ€[1]

๐Ÿ“‹ Hazrat Ubai Bin Kaaโ€™b razi Allahu anhu se marwi hai ke Maine Rasoolullah ๏ทบ ko ye farmate hue suna ke Anqareeb darya-e-furaat se ek sone ka pahad Zaahir hoga, logon ko jab us ka pata chalega to wo uski taraf Daudenge aur Muqami log kahenge ke hum ne agar kuch nahi kaha to yaqeenan log saara sona le udenge (chunanche wo doosron ko rokenge) isi par aisi jung hogi ke unme 99% wahin kat marenge.

ุนูŽู†ู’ ุซูŽูˆู’ุจูŽุงู†ูŽุŒ ู‚ูŽุงู„ูŽ: ู‚ูŽุงู„ูŽ ุฑูŽุณููˆู„ู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ: ยซูŠูŽู‚ู’ุชูŽุชูู„ู ุนูู†ู’ุฏูŽ ูƒูŽู†ู’ุฒููƒูู…ู’ ุซูŽู„ูŽุงุซูŽุฉูŒุŒ ูƒูู„ู‘ูู‡ูู…ู ุงุจู’ู†ู ุฎูŽู„ููŠููŽุฉูุŒ ุซูู…ู‘ูŽ ู„ูŽุง ูŠูŽุตููŠุฑู ุฅูู„ูŽู‰ ูˆูŽุงุญูุฏู ู…ูู†ู’ู‡ูู…ู’ุŒ ุซูู…ู‘ูŽ ุชูŽุทู’ู„ูุนู ุงู„ุฑู‘ูŽุงูŠูŽุงุชู ุงู„ุณู‘ููˆุฏู ู…ูู†ู’ ู‚ูุจูŽู„ู ุงู„ู’ู…ูŽุดู’ุฑูู‚ูุŒ ููŽูŠูŽู‚ู’ุชูู„ููˆู†ูŽูƒูู…ู’ ู‚ูŽุชู’ู„ู‹ุง ู„ูŽู…ู’ ูŠูู‚ู’ุชูŽู„ู’ู‡ู ู‚ูŽูˆู’ู…ูŒยป โ€“ ุซูู…ู‘ูŽ ุฐูŽูƒูŽุฑูŽ ุดูŽูŠู’ุฆู‹ุง ู„ูŽุง ุฃูŽุญู’ููŽุธูู‡ู ููŽู‚ูŽุงู„ูŽ โ€“ ููŽุฅูุฐูŽุง ุฑูŽุฃูŽูŠู’ุชูู…ููˆู‡ู ููŽุจูŽุงูŠูุนููˆู‡ู ูˆูŽู„ูŽูˆู’ ุญูŽุจู’ูˆู‹ุง ุนูŽู„ูŽู‰ ุงู„ุซู‘ูŽู„ู’ุฌูุŒ ููŽุฅูู†ู‘ูŽู‡ู ุฎูŽู„ููŠููŽุฉู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุงู„ู’ู…ูŽู‡ู’ุฏููŠู‘ู โ€œ[2]
๐Ÿ“‹ Hazrat Sauban Razi Allahu anhu se riwayat hai Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya ke tumhare Khazane par 3 Aadmi Jung karenge aur Unme se har ek kisi Hakim ka ladka hoga, lekin ye Khazane unme se kisi ko na mil sakega, phir mashriqi simt se siyah (black) jhande namoodar honge aur ye log tum se aisi khoonrez jung karenge ke isse pehle koi bhi is shiddat se na lada hoga.

Hazrat Sauban Razi Allahu anhu kehte hai ke phir Ap๏ทบ ne koi baat irshad farmayi jo mai yaad na rakh saki, phir Aakhir me kaha ke jab tum use dekho to fauran Bait karlena chahe tumhe Baraf par ghasit kar hi kyun na aana pade kyunke wo Yaqeenan Allah ke Khalifa *Mehdi* honge.

๐Ÿ’ก Aathwin aur Nawwin sadi Hijri ke Mashhoor Muhaddis Hafiz Ibne Hajar Asqlani rah. FATHUL BAARI SHARAH SAHEEH BUKHARI me likhte hain
ุฃูŽู†ู‘ูŽู‡ู ุฅูู†ู‘ูŽู…ูŽุง ูŠูŽู‚ูŽุนู ุนูู†ู’ุฏูŽ ุธูู‡ููˆุฑู ุงู„ู’ู…ูŽู‡ู’ุฏููŠู‘ู [3

๐Ÿ‘‰๐Ÿผye waqia Zuhoore-e-Mehdi ke waqt Runuma hoga yani Awwalan Khazane par 3 Arab Shehzaadon ki Jung hogi phir kuch log Mashriq se aakar is buri tarah Arbon se ladenge ke guzashta tareekh me iski misaal tak milna mushkil hogi, ye waqia Bilashubah Iraq aur Darya-e-Furaat se mutalliq hai, kisi aur Mulk ko murad lene ki yahan qatโ€™an koi gunjaish nahi

Note: Hadees me ุงู‚ุชุชุงู„ ka lafz istemal hua hai jiske Maine (meaning) hain Baham kat marna, ๐Ÿ”˜Doosri riwayat ke mutabiq is jung me 99% Shurakaa kat marenge.

๐Ÿ’ก Ab tak ki 7 alamaton se hame ye baaten maloom hui

๐Ÿ’พ Hazrat Mehdi Huzoor ๏ทบ ke Nasab se honge usme bhi Hasani honge aur Aapka naam Muhammad Bin Abdullah hoga, aur Ap ka Qad (height) darmiyani hogi, na ziada lambe aur na pasta qad, aur Naak Buland hogi aur Aap Madina Munawwara ke baashinde honge, India ke nahi. aur Hazrat Imam Mehdi ke zuhoor se pehle โ˜‘Sham aur Iraq aur Misr ki Naaka bandi, ๐Ÿ”˜Darya-e-Furaat se sone ke pahad ka Zuhoor, โšซSham par Isaiyon ki yalgaar, ๐Ÿ”ตMina me Hujjaj ki baham Khoonrezi aur ๐Ÿ”ดSufyani ka Fitna angez khurooj hoga. ๐Ÿ”˜ Khalifatul Waqt ka Inteqal hoga aur Khalifa ke Janasheeni ke liye ikhtelaf hoga.๐Ÿ”˜Darya e Furaat ke Paas Sone ke pahad ke paas Qatal o Qitaal hoga taqreeban 99% log jo wahan Sone ke liye Aayenge mar jayenge,โš  Teen Shahzade bhi Aayenge us Sone ke pahad ke liye wo bhi Jung karenge, Lekin Khazana unme se kisi ko nahi milega. โšซMashriq se Siyah Jhandon wala Lashkar ayega. Us waqt Hazrat Mehdi ka Zuhoor hoga.

๐Ÿ’ก In Dalail se 100 % ye Baat maloom hoti hai ke Hazrat Mehdi Madeene Munawwar ke baashinde (rehne wale) honge aur Makkah Mukarrama me Zahoor farmayenge, kahin aur nahi.

๐Ÿ“‹References

[1] Saheeh Muslim 4/2220

[2] Sunan Ibne Maja 4084,Musnad Bazzar 4163

[3] Fathul Baari 13/81
๐Ÿ“ฒ๐Ÿ“ฉ

๐Ÿ–Š FBS

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Google photo

You are commenting using your Google account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.