3rd Hijri ke Chand Ahem Waqiaat

Imam Nawawi rahmatullahi alaih likhte hain

Teesri Hijri:

Teesri Sadi Hijri me Ghazwaat o Saraaya hue,

  1. unhi me Ghazwae Uhud hai jo Hafte ke din 7th Shawwal ko hua,
  2. Phir BADR E SUGHRA hui ZI QAIDA ke Shuru me,
  3. Isi Saal Ghazwa e Nazeer hui,
  4. Isi Saal Uhud ke baad SHARAB HARAAM hui,
  5. Isi Saal Ap sallallahu alaihi wasallam ne Hazrat HAFSA BINTE OMAR FAROOQ razi Allahu anha se Nikah farmaya,
  6. Isi saal Hazrat Osman Ghani Razi Allahu anhu ne Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki sahebzaadi hazrat Umme Kulsoom razi Allahu anha se Nikah kiya aur
  7. Isi Saal Hazrat Hasan Bin Ali razi Allahu anhu ki wiladat hui

(“Tehzeeb Ul Asmaa wal Lughaat” 1/20)

FBS

HIJRI KAB SHURU HUI

Tareekh (Hijri) ki Ibteda:

Allama Nawawi rahmatullahi alaih ne apni Kitab “Tehzeeb Ul Asmaa wal Lughaat” me mukhtasaran is par raushni daali hai wo likhte hain

“Islam me Tareekh ki Ibteda Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Makkah se Madina Hijrat se hui, aur is baat par Sab ka Ijma hai, aur Sab se pehle Hijrat ko Hazrat Umar Bin Khattab Razi Allahu anhu ne 17 Hijri me likha (yani Islami Calender ko Hazrat Umar Razi Allahu anhu ne Shuru kiya aur usko Hijrat ke Azeemush Shaan amal se aaghaz farmaya)

Aur ye chand baaten mai Har Saal ke Ahem Umoor me se bayan kar raha hun Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Wafaat tak Saalon ki tarteeb par aur wo 10 Saal hai.(kyu ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki wafaat 11 Hijri ki ibteda me hui hai.)

(“Tehzeeb Ul Asmaa wal Lughaat” 1/20)

FBS