Ap sallallahu alaihi wasallam ki WALEDA ka Nasab is tarah se hai:
“AMENA BINT E WAHAB BIN ABD E MUNAAF BIN ZEHRA BIN KILAAB BIN MURRAH BIN KA’AB BIN LUWAI BIN GHAALIB BIN FIHR BIN MAALIK BIN NAZR BIN KINANA”
Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke Waldain ka nasab upar jaakar mil jata hai dono QURAISHI the. Ap sallallahu alaihi wasallam ke Walid ABDULLAH, AMENA BINTE WAHAB ko MADINA MUNAWWARA se Biyaah kar laaye the unki paidaish wahin ki thi jo Qabeele Bani Najjar me se thin. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ke Waalid ke AKHWAAL yani MAMU isi Qabeele se talluq rakhte the. Hazrat Waasila Bin Asqa’ razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Maine Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ko ye farmate hue suna ke bilashubah Allah Ta’ala ne KINANA ko ISMAIL alaihis salam ki Aulaad me se muntakhab farmaya , phir QURAISH ko BANI KINANA se aur QURAISH se HASHIM ko phir BANI HASHIM se Mujhe muntakhab farmaya.(MUSLIM 2/245)