Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur

Islam, Musalman aur Ghair Muslim part 2

Sharafat-E-Insani Ka Tasawwur

Baahmi(Aapsi) Insani Rawabit (Mel Jol/Ta’lluqaat)Ki Doosri Bunyad Insani Sharafat O Karamat Aur Ehteraam E Aadmiyyat Hai, Insan Ko Ba-Haisiyat Insan Allah Ta’ala Ne Qaabil-E-Ehteraam Qarar Diya Hai:

وَلَقَدْ كَرَّمْنَا بَنِي آدَمَ

“Hum Ne Insan Ko Muazzaz Banaya Hai”(Surah Bani Israil<17>:70)

Us Ke Jismani Saanche(Dhancha) Ko Behtreen Saancha Qarar Diya Gaya Hai, Irshad Hai

لَقَدْ خَلَقْنَا الْإِنْسَانَ فِي أَحْسَنِ تَقْوِيمٍ

“Hum Ne Insan Ko Behtreen Qaalib Me Paida Kiya Hai.”(At-Teen:4)

  • Ye Takreem O Ehteram Tamam Bani Nau(Bashar/Insan ki Aulaad) Insan Se Mutalliq Hai, Aur Is Me Musalman Aur Ghair Muslim Ki Tafreeq Nahi Hai, Paighambar-E-Islam Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Amali Taur Par Is Haqeeqat Ko Wazeh Farmaya,
  • Ek Baar Ek Yahoodi Ka Janaza Jaraha Tha, Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Khade Hogaye, Logon Ne Arz Kiya Ke Ye Yahoodi Ka Janaza Hai, Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke Jaan To Us Me Bhi Hai.

(Saheeh Bukhari Hadees No 1312)

  • Ghazwa-E-Ahzaab Ke Mauqe Se Ek Mushrik Musalmano Ke Hathon Maara Gaya, Ahl-E-Makkah Ne Khwahish Ki Ke Us Ki Qeemat Le Kar Laash Un Ke Hawale Karde, To Ap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Koi Qeemat Liye Baghair Laash Wapas Kardi

(Al-Bidaya Wan-Nihaya 4/107)

Kyun Ke Insani Naash Ki Qeemat Wusool Karna Insani Ehteram Ke Mughaair (Mukhalif)Hai

  • Islam Se Pehle Jung Ka Koi Qanoon Nahi Tha, Aur Log Maqtool(Jiska Qatl Kiya Gaya) Ke Aazaa Tarash Kar Haar(Necklace) Pehante Aur Apni Aatish-E-Inteqam Bujhate The, Islam Ne Ek To Hattal Maqdoor Jung Se Bachne Ka Hukm Diya, Lekin Agar Is Ki Naubat Aahi Jaye, To Jung Ke Muhazzab Qawaneen Muqarrar Kiye, Min Jumla Un Ke Ye Hai Ke Agar Koi Shakhs Giraft Me Aajaye To Iizaa (Takleef) Pohancha Kar Qatl Na Kiya Jaye, Aur Jo Maare Jayen, Un Ke Aazaa(Body Parts) Kaate Na Jayen Ke Ye Ehteraam-E-Insaniyat Ke Khilaf Hai.

(Jaame Tirmizi 2/401)