Ishq-e-Majazi Azaab-e-Ilahi hai

Ishq-e-Majazi Azaab-e-Ilahi hai

Hakeemul Ummat Mujaddidul Millat Maulana Ashraf Ali Thanwi Rahmatullahi alaih ko Khuda-e-Ta’ala Jazaye Azeem ata farmaye, fatmate hain ke Ishq-e-Majazi Azaab-e-Ilahi hai, jisne Dozakh dekhi ho wo Ishq-e-Majazi me mubtala hokar Dozakh ka Azaab chakhle, kyu ke jo Jahannam ka Mizaaj hai ke لا يموت فيها ولا يحيى Dozakh me na Maut aayegi na Hayaat milegi. To jiska Dil kisi Ghairullah se lag gaya, Nazar se Nazar ladgayi, Uski Neend hojayegi, na jiyega na marega. Na nikli na andar rahi jaan-e-Aashiq

حسینوں سے جسے پالا پڑا ہے
اسے بس سنکھیا کھانا پڑا ہے

Haseeno se Jise paala pada hai

Use bus sankhya khaana pada hai

ye mera Sher hai. Ab uski sharah bhi kardoon ke agar kisi Haseen se dil lagaliya to 2 Mushkilen hain ya to uski Judai ke Gham khaakar marjayega aur agar usko paagaya to Out of Stock hokar phir Hakeemo se kahega ke Hakeem sahib! Kashtae Sankhya khilayye, mai to bilkul nil hogaya hoon, dono haalaton me yani firaaq me bhi aur wasl me bhi sankhya khaana pada aur zindagi barbaad hogayi.

Hakeemul Ummat Hazrat Thanwi rahmatullahi alaih ke is jumle ko agar koi sone ke paani se likhe to bhi uska haq ada nahi hosakta ke Ghairullah se dil lagana Azaab-e-Ilahi chakhna hai, uski Zindagi dozakhiyon ki si Zindagi hoti hai, na zindagi milti hai na Maut, Maut o Hayaat ke darmiyaan kashmakash me rehti hai.

(Ishqe Majazi Azaab e Do Jahan)