Aetekaaf o Lailatul Qadr

AETEKAAF KA BAYAAN

Aayat:

وَلاَ تُبَاشِرُوهُنَّ وَأَنتُمْ عَاكِفُونَ فِي الْمَسَاجِدِ

Tarjuma: Aur un Bibiyon (ke badan) se Apna Badan bhi (Shehwat ke sath) mat milne do jis zamane me ke tum log Aetekaaf wale ho (jo ke) Masjidon me (hua karta hai)(Surah Baqarah 187)

Hadees:

“Ap sallallahu alaihi wasallam Ramazan ke Aakhri Ashre me Wisaal tak aetekaaf farmaya karte.”

(Bukhari o Muslim)

Arabi Zaban me Aetekaf ka matlab hai thairna,roke rakhna, Hamesha lazim rahna. Shar’an Makhsoos Shakhs ka niyyat ke sath Masjid me Thairna Aetekaaf kehlata hai.

Is ki mashrooiyat par Ijma hai. Aetekaf har waqt Sunnat hai chahe baghair Roze ke ya Sirf Raat me Aetekaaf kare, kyu ke kisi waqt ki qaid aur Ta’yeen marwi nahi. Ramazan ke Aakhri Ashre me degar Ayyam ke muqable me Ziada Afzal hai, kyunke Ap sallallahu alaihi wasallam ne us ki pabandi farmayi hai.(Bukhari o Muslim) aur is ki asal hikmat Laitlatul Qadr ki talash aur us ke husool ki koshish hai. Jo Quran ki roo se Hazaar (1000) Maheeno se behter hai. Yani us ek raat ki Ibadat aise Hazaar Mahino ki Ibadat se behter hai, jisme LAILATUL QADR na ho.

Hadees:

(1)”Jo Lailatul Qadr me Iman aur Sawab ki niyyat se Qiyaam kare (Allah ki Ibadat karta rahe) uske Sabiqah Gunah maaf honge.”

(Bukhari o Muslim)

Muraad isse Huqooqullah se mutalliq Sagheera gunah hain.

(2)Shabe Qadr ko Ramazan ke Aakhri Ashre me talash karo.

(Bukhari o Muslim)

Imam Shafa’ii rahmatullahi alaih ke nazdeek Aakhri Ashre ke har Shab me Lailatul Qadr ka imkaan hai, lekin ziada Ahtemaal Taaq Raaton me aur usme bhi 21 ya 23 ki raat me hia. 21wi shab par Saheeh Bukhari o Muslim ki riwayat aur 23wi shab par Muslim ki riwayat dalalat karti hai. Imam Muzani aur Ibne Khuzaima waghaira ne farmaya ke Shab e Qadr muntaqil hote rehti hai. (har saal ek hi mutayyin raat nahi hoti) Imam Nawawi rah ne Rauzah, Majmoo aur Fatawa me isi ko tarjeeh di hai. Jama Bainal Ahadees me Imam Shafa’ii rahmatullahi alaih ke Kalaam ka bhi yahi taqaza hai. Shabe Qadr ki ek alamat ye hai ke uski Subah jab Suraj Tuloo hoga , to bilkul Safed hoga, usme ziada Shu’aaen nahi hongi. Shab e Qadr is Ummat ki khusoosiyat hai. Ye saal ki sab se afzal raat aur ta qayamat baaqi hai. Ye darhaqeeqat Nazar aati hai, jise Nazar aaye usey ye chupana Sunnat hai, kyun ke ye nazar aana ek Karamat hai aur Karamat ka poshida rakhna Sunnat hai. Shab e Qadr me Saari Raat Namaz, Tilawat, Dua waghaira Ibadaat me masroof rahe . shabe Qadr me ye Dua kasrat se padhen.

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Tarjuma:

Aye Allah! Beshak Tu hi maaf karne wala hai aur Maafi ko pasand karta hai pas Mujhe maaf farma.(Tirmizi 3513)

Shabe Qadr ka Ilm na hosake tab bhi us raat ki ibadat karne se uski fazeelat Fil Jumla haasil hogi (kaamil fazeelat baghair ilm ke hasil na hogi) is ki ek Alamat usme Garmi o Sardi ka na hona hai (yani Motadil hogi) Shabe Qadr ke baad din m ebhi kasrat se Ibadat karna Mustahab hai.