WUZOO SE PEHLE BISMILLAH PADHNA

Wuzoo se pehle Bismillah padhne ki koi Hadees Saheeh Sanad se maujood nahi hai magar is par sab ka Amal hai ke Wuzoo se pehle Bismillah padhte hain, dekhye Imam Tirmizi rahmatullahi alaih Hadees Naqal karte hain keh Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

عَنْ رَبَاحِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي سُفْيَانَ بْنِ حُوَيْطِبٍ، عَنْ جَدَّتِهِ، عَنْ أَبِيهَا، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: «لَا وُضُوءَ لِمَنْ لَمْ يَذْكُرْ اسْمَ اللَّهِ عَلَيْهِ»

“ Us Shakhs ka Wuzoo nahi jo us par Allah ka naam na le”

(Sunan Tirmizi Hadees No 23)

Aage likhte hain:

Imam  Tirmizi rah farmate hain:

قَالَ أَحْمَدُ بْنُ حَنْبَلٍ: لَا أَعْلَمُ فِي هَذَا الْبَابِ حَدِيثًا لَهُ إِسْنَادٌ جَيِّدٌ، وقَالَ إِسْحَاقُ: إِنْ تَرَكَ التَّسْمِيَةَ عَامِدًا أَعَادَ الْوُضُوءَ، وَإِنْ كَانَ نَاسِيًا أَوْ مُتَأَوِّلًا أَجْزَأَهُ

Imam Ahmad rah ne farmaya: “Is Masle me mere Ilm me Koi aisi Hadees nahi hai jis ki Sanad Umdah ho” aur

Imam Ishaaq ne farmaya: Agar Wuzoo karne wale ne Bil Qasd(amadan) Bismillah nahi padhi to Wuzoo ka I’aadah kare aur agar bhool kar nahi padhi ya taweel karte hue nahi padhi to uska Wuzoo hogaya.

Yahan 2 baaten Qaabil e Ghaur hain

Ek yeh ke Wuzoo se pehle Bismillah padhne ki koi Saheeh Hadees Maujood nahi lekin Tamam Musalmano ka is par Amal hai , khud Ghair Muqallideen ka bhi, doosri baat yeh ke ye Hadees agarche Zaeef hai lekin Imam Ishaq rah ke nazdeek agar koi Amada chord de to wuzoo phir se karna padega yani iska matlab ye hua ke wo is Hadees se Bismillah ko Wajib qarar diye hain. To yahan un logon ko ghaur karna chahye ke Jo Sirey se Zaeef Hadees ka inkar karte hain aur us ko Mauzoo(fabricated) Hadees ke darje me rakh dete hain aur Ummat me Ifteraq o Inteshar paida karte hain .Image