MUDALLAL NAMAZ E JANAZA KA TAREEKHA (FIQH HANAFI)

Bismillahir Rahmaanir Raheem

NAMAZ  E JANAZA KA TAREEKHA

Namaz  e Janaza ka Tareekha ye hai ke

  1. Pehli Takbeer kahe uske Baad Allah ki Hamd bayan kare(yani SANAA padhe),
  2. Phir Takbeer kahe aur Nabi sallallahu alaihi wasallam par DAROOD SHAREEF padhe,
  3. Teesri Takbeer kahe aur usme Apne liye aur Mayyit ke liye aur Musalmano ke liye Dua padhe
  4. Phir chauthi (4th)Takbeer kahe aur Salaam pherde.[Hidayah jild 2 safha 145]

Dalail:

Namaz e Janaza me 4 Takbeeren

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Najashi ki Wafaat ki Khabar di jis Din wo Faut hue the(inteqal hua).

Ap sallallahu alaihi wasallam Sahaba Ikraam razi Allahu anhum ko lekar Eid Gaah pohanche unki Saff bandi ki aur Ap sallallahu alaihi wasallam ne  4 Takbeeren kahin

(SAHEEH BUKHARI JIld 1 Safha 178)

Mashhoor Tabaee Imam Sha’bi rah farmate hain:

“Mayyit ke Janaze par Pehli Takbeer  ke baad SANAA, doosri Takbeer ke Baad Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam par DAROOD jab ke Teesri Takbeer ke baad Mayyit ke liye Dua aur Chauthi takbeer ke baad Salaam phera jata hai.”

[MUSANNAF ABDUR RAZZAQ JILD 3 SAFHA 316]

SANAA’:

Hazrat Abu Sayeed Khudri Razi Allahu anhu  farmate hian ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam Jab Namaz Shuru farmate to

سبحانك اللهم و بحمدك  و تبارك اسمك و تعالى جدك ولا اله غيرك

Transliteration: SUBHANAKALLAHUMMA WABIHAMDIKA WA TABARAKAS MUKA WA TA’AALA JADDUKA WALAA ILAAHA GHAIRUK.

[SUNAN NASAI JILD 1 Safha 143]

Hazrat Abdullah Bin MAsood Razi ALlahu anu ki riwayat me و جل ثناؤك  ke alfaaz bhi aye hain yani

سبحانك اللهم و بحمدك  و تبارك اسمك و تعالى جدك و جل ثناؤك ولا اله غيرك

   Transliteration: SUBHANAKALLAHUMMA WABIHAMDIKA WA TABARAKAS MUKA WA TA’AALA JADDUKA  WA JALLA  SANAA’UKA  WALAA ILAAHA GHAIRUK.

[Musnad Firdaus Jild 1 safha 204 hadees No 819]

Mayyit ke liye Dua:

(TEESRI TAKBEER KE BAAD YE DUA PADHEN)

اللهم اغفر لحينا و ميتنا و شاهدنا و غائبنا و صغيرنا و كبيرنا و ذكرنا و انثانا ، اللهم من احييته مننا فاحيه على الاسلام و من توفيته مننا فتوفه على الايمان

   Transliteration:   AllahummaghFir Li Hayyinaa wa Mayyitinaa Wa Shaahidinaa wa Ghaa’ibinaa wa Sagheerinaa Wa kabeerinaa wa Zakarinaa Wa Unsaanaa , Allahumma Man Ahyaytahu Minnaa Fa Ahyihii alal Islaam wa Man Tawaffaitahu minnaa fa tawaffahu alal Imaan.

Tarjuma: Aye Allah ! Hamare Zindon aur Murdon ki Bakhshde, Hamare Haazir aur ghaaib ko Bakhsh de, Hamare Choton aur Badon ko Bakhsh dey, Hamare Mardon aur Aurton ko Bakhsh de. Aye Allah ! Humme se jisko tu Zinda rakhe to Islaam par Zindaa Rakh aur Jisko Tu Maut de to imaan ki haalat me Maut de.

Na Baaligh Mayyit ke liye Dua:

Hadees me aya hai :

“Na Baaligh ki Namaz e Janaza ada ki jaye aur uske Walidain ke liye Maghfirat aur Rahmat ki Dua ki jaye.

[Sunan Abu Dawood Jild 2 Safha 97]

Chaunke Hadees me koi Khaas Dua Muqarrar nahi ki gayi aur Hazraat e Salaf Saaliheen se bhi Mukhtalif Alfaaz marwi hai isi liye FUQAHA ne tamam Riwayat ke pesh nazar ek jaame’ Dua zikr farmayi hai:

اللهم اجعله لنا فؤطا و اجعله لنا اجرا وذخرا واجعله لنا شافعا و مشفعا

 

   Transliteration:   Allahummaj ‘alhuu lanaa Faratan waj’alhu lanaa Ajran wa zukhran waj’alhu lana Shaafi’an wa Mushaffa’an.

[Hidaya Ma’aa nasbur Raaya  jild 2 safha 279]

   Tarjuma : Aye Allah! Is Bache ko Hamara peshruu banaa de au rise Hamare liye Baa’s e Ajr bana, isey Hamare liye Sifarish karne wala banaa aur iski Sifaarish Qabool farma.

Agar Nabaaligh Bachi ka Janaza ho to isi Dua me   اجعله ki jagah اجعلها aur

شافعا و مشفعا  ki jagah شافعة و مشفعة padhen. Yani Dua kuch is tarah hogi

   Transliteration:   Allahummaj ‘alhaa lanaa Faratan waj’alhaa lanaa Ajran wa zukhran waj’alhu lana Shaafi’atan wa Mushaffa’atan.

 

Note: Ahaadis me Chaunke Mukhtalif Duaen Marwi hain is liye Fuqaha ne Tasreeh ki hai ke Agar ye Duaen Yaad nah o to jo chahe Dua karlen.

 

Salaam:

Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke

“Najashi par Namaz padho . Ap sallallahu alaihi wasallam ne Janaze ko Namaz kaha jisme Rukoo’ hai na Sajdah aur na hi Guftgu ki jati hai . isme to Takbeeraat aur Salaam pherna hota hai.

[Saheeh Bukhari jild 1 safha 176]

 

Namaz e Janaza ke Muttasil Baad  Ijtemai Duwaa sabit nahi:

 

Namaz e Janaza Bazaate Khud Dua hai iske Muttasil Baad Ijtemaai Dua karna Sabit nahi. Is liye Fuqahaa o Muhaddiseen ne isse Mana farmaya hai .

Chunanche Shaarih e Mishkaat Sultaanul Muhaddiseen Mulla Ali Qaari rah farmate hain:

“ Namaz e Janaza ke Baad Mayyit ke liye Dua Naa maange is liye ke ye Namaz e Janaza me Ziyadti ke Mushabeh hai”

[MIRQAAT SHARAH MISHKAAT  JILD 4 SAFHA 149]

 

 

====****====****====****====****====****

Zara Sonchye ke Aj hum Doctor hai Engineer hai, Masters hai , Graduate hai, sab kuch dunyawi Ilm hame hamare Walidain ne sikhaya aur jab unka Inteqal hota hai to Hum unke liye Namaz e Janaza Saheeh se Adaa nahi karsakte. Apne Maa Baap ke liye Dua nahi karsakte jo Shariat ne janaze ke taur par batayi hai.

Mere bhaiyyo Namaz e Janaza ki sirf ek Dua hame Yaad karni hogi wo bhi choti si baqi sab jo hai Namaz hi ki Duaen hai aj hi kuch waqt dekar yaad karlen take Hum Mayyit par Jo Shariat ne Janaze ka tareekha bataya hai use saheeh tareekhe se ada karsaken aur sath hi hamare doosre musalmaan bhaiyyo ko bhi bataden.

JazakAllahu Khairan Kaseera.